Friday, May 22, 2015

Har Janam mein usi ki chaahat they - Bashir Badr



Har Janam mein usi ki chaahat they
Ham kisi aur ki amanat they

Teri chadar mein tan samet liya
Ham kahan key daraaz qaamat they

Jaise jangal mein aag lag jaaye
Ham kabhi itne khubsoorat they

Paas rahkar bhi door door rahe
Ham naye daur ki mohabbat they

Is khushi mein mujhe khyal aaya
Gham key din kitne khubsoorat they

Tuesday, September 23, 2014

Kuduuraton ke darmiyaan, adaawaton ke darmiyaan

kuduuraton ke darmiyaan, adaawaton ke darmiyaan
tamaam dost ajnabi hain, doston ke darmiyaan

zamaana meri daastaan pe ro raha hai aaj kyuun
yehi to kal suni gayi thi, qehqaho.n ke darmiyaan

shauur-e-asr dhoondhta raha hai mujhko, aur main!
magan hoon ahd-e-raftagaan ki, azmaton ke darmiyaan

hazaaron burdbaariyon ke saath jee rahe hain ham
muhaal tha ye kaar-e-zeest, wehshaton ke darmiyaan

ye sochte hain kab talak zameer ko bachaayeinge
agar yuunhi jiya kiye zarooraton ke darmiyaan

(Peerzada Qasim)

Hamaari tarah koi doosra hua bhi nahi

Hamaari tarah koi doosra hua bhi nahi
wo dard dil mein rakha hai jo laadawa bhi nahi

ussi ko dekhti rehti hai chashm-e-shauq madaam
jo g'am abhi sar-e-shaakh-e-alam khilaa bhi nahi

hamaara dard ajab marhale mein hai ki jahaan
wo besukhan bhi nahi aur lab-kushaa bhi nahi

junnon-e-ishq ye zanjeer-e-g'am sambhaale rakh!
jo ye nahi to ik aawaaz-e-aashnaa bhi nahi

(Peerzada Qasim)